Bharatiya Gyan Parampara Mein Prachin Shiksha Vyavastha
Journal of Indian Knowledge Studies · 12.10.2026 · 23-28
DOI: 10.71371/jiks.23-28 ↗Kurz gefasst
Fachartikel in der Zeitschrift Journal of Indian Knowledge Studies, online erschienen am 12.10.2026. Verfasst von Dr. Rashmi Janha. Der Volltext ist frei zugänglich (Open Access, CC BY 4.0).
Abstract (Originalsprache)
Bharatiya Gyan Parampara vishva ki prachinatam gyan paramparaon mein se ek hai. Ismein shiksha ko keval pustakiya gyan athva aajeevika prapt karne ka sadhan nahin mana gaya, balki vyakti ke sharirik, mansik, bauddhik, naitik, samajik evam adhyatmik vikas ki prakriya ke roop mein dekha gaya. Prachin Bharat mein shiksha ka vikas vibhinn aitihasik kalakhandon mein hua, jinmein Vaidik, Uttarvaidik, Bauddh, Jain tatha anya sthaniya gyan paramparaon ka mahatvapurn yogdan raha. Gurukul, ashram, pathshala, vihar tatha uchch shiksha ke kendra is gyan parampara ke pramukh sansthagat swaroop the. Prachin Bharatiya shiksha vyavastha mein guru-shishya sambandh, anushasan, swadhyay, samvad, chintan, tark-vitark, anubhav aadharit adhigam tatha jeevanopayogi gyan ko vishesh mahatva diya jata tha. Ved, Upanishad, darshan, vyakaran, ganit, jyotish, Ayurveda, krishi, shilp, kala evam shasan sambandhi gyan iske vyapak adhyayan kshetron mein sammilit the. Takshashila, Nalanda, Vallabhi aur Vikramshila jaise shiksha kendron ne gyan ke vikas evam prasar mein ullekhniya bhoomika nibhayi. Is shodh-patra ka uddeshya Bharatiya Gyan Parampara mein prachin shiksha vyavastha ke swaroop, uddeshyon, shikshan vidhiyon, pramukh sansthanon tatha samajik visheshataon ka vishleshan karna aur vartaman shiksha vyavastha mein uski prasangikta ko spasht karna hai. Adhyayan se yah nishkarsh nikalta hai ki prachin shiksha parampara ke naitik moolyon, samagra vikas, samvadatmak shikshan aur prakriti ke prati samvedansheelta jaise tatva aadhunik shiksha ko adhik manaviya evam moolyaparak banane mein upyogi ho sakte hain. Saath hi, is parampara ka adhyayan aitihasik sandarbhon, samajik vividhataon aur uski seemaon ko dhyan mein rakhkar kiya jana aavashyak hai.
Zitieren
APA
Janha, D. R. (2026). Bharatiya Gyan Parampara Mein Prachin Shiksha Vyavastha. Journal of Indian Knowledge Studies, 23-28. https://doi.org/10.71371/jiks.23-28
Vancouver
Janha DR. Bharatiya Gyan Parampara Mein Prachin Shiksha Vyavastha. Journal of Indian Knowledge Studies. 2026:23-28. doi:10.71371/jiks.23-28
BibTeX
@article{Janha2026,
author = {Janha, Dr. Rashmi},
title = {Bharatiya Gyan Parampara Mein Prachin Shiksha Vyavastha},
journal = {Journal of Indian Knowledge Studies},
year = {2026},
pages = {23--28},
doi = {10.71371/jiks.23-28}
}
EUVIMED